Monday, December 12, 2011

urdu ki deewangi... :D

Amroz ki tarah aj bhi jab humne youtube khola kuch talqeem karne wale zindah dil videos dekhne ke liye to humari nigah Shah Faisal ke kuch guftaar par padhi...  jisme unhone Dr.iqbaal ki sher-o-sharii ka bar bar zikr kiya hai.Use dekhne ke baad na sirf hum Shah Faisal balki iqbaal ki shayeri ke bhi kayal ho gaye.Maine Google me tafteesh ki to pta chala ki Muhammad Iqbaal ek pakistani mussahnif aur shayar the'n. Kafi pahuche huye Falsafi bhi the'n. ...

Unki shayeri par gaur farmaya to ilm hua ki hme kuch samajh nahi aa rha hai, to bas ek bar fir nikal padhe urdu-e-kainaat me (pehli baar hum yaha aye the jab humne ek persian song suna tha). Ye urdu zubaan lajawaab hai.  Khair Aasaan nahi hoga ye urdu  ilmiyat.. fir humare zehn me aya ki asaan to ise chodna bhi nahi hai.... khuda hafiz

4 comments:

  1. are yr iske sath ek concise urdu dictionary ka link b de dena tha

    ReplyDelete
  2. jaankr khushi hui ki aj bhi ese shakhs mojuud hain jinhe kch khaaas makhlooq ki jaankaari rkhne me khushi mehsoos hoti h..
    aur me tmhe ittelaa krdu ki koi b kaam shuruwaat me mushkilaat paida krta h mgr baad me behad asaan maalum hota h..
    aur jitna me tmhe janta hun tmhare ilm mein mazeed izaafa zrur hoga....inshallah:O

    ReplyDelete
  3. @ yash:

    filhal to all credit goes to ijunoon.net lekin bahut jald hi hum bina reference ke khud se bhi likhna seekh jayenge..

    @ yunus:

    haan humare ilm me kafi izaafa hua hai aur kabhi mushkil muamla pade to bas tumse puch liya karenge.

    ReplyDelete