Kal sab chale jayenge...seniours hmare... apne apne raste.. wapas. Unki degree ab puri ho gayi h. Engineers ban gaye hai sab.Corporate world ki us daud me shamil hone k liye itte utawle rehte hai sab.... bas ab aa gya tha wo din. Lagbhag sabke joining dates bhi aa gaye the.
Corridor se guzar rahi thi to har rum se ek si awaze sunne me aa rhi thi- teri ghadi reh gae thi mere pas, aj almari khali kiya to dikh gae. Aage badhi to fir ek seniour ka rum: sau rupaye dene the yr tujhe, baki the us din ke,, kis din k mujhe to nahi yad h...wo 3rd sem me jab hum 3 idiots dekne jyoti gaye the, roz sochti thi aj dungi par din itni jaldi nikal gaya ki pta hi nae chal paya... har darwaze se bas yehi sunae de rha tha... Neeraj ne ye card diya tha tujhe dene k liye tere b'day par, lekin jan mujh kar maine nae diya.. sory yr. ye aspatal ki recipt yaad h... Payal ko tez bukhar tha aur hm raat ke do bje use le kar gaye the... puri raat itna hangama kiya tha waha.
khubsurat lamho me lipti un yaadoon ko shabdoon me lapetate lapetatte sab hass pade.Zor zor se aur rukne ka naam hi nahi aur fir achanak sab shant ho gaye aur lag gaye wapas apna apna saman sametne me...
Jab ham ghar se aaye the to koi nae tha yaha siwaye inke. Pure jab colg jab bhi ye hme dikh jate the itta accha lagta tha jaise koi apna dikh gaya ho. Hostlers Hostlers karte rehte the in seniours ke dam pe. Ganesh puja se le kar holi New Year sab ko itne pyar se manaate aaye hain inke saath.
Ab to samajh hi nae ata ki kal se ye hostle kaisa dikhega in logoon ke bina jinhe hamne sabse pehle jana tha.Lagta hai jaise ab "apne log" jaisa koi raha hi nae yaha.....
Ghar se aaye the to mummy ki ki gudiya ban kar aaye the... ab lagta hai sab kitne bade ho gaye h. Kitne kuch kehna h sabse lagta h jaldi jaldi kitti sari baate kar lu aj hi, inse(seniors se) aur apne batch mates se.. btana h sabko ki tum sabke bina ye safar kitna adhura hota.. har us narazgi, hasi khamoshi ki kimat samjhani thi....
Itna sab kehne ko tha aj mere pas... Aj jab sab ja rahe hai to aisa lagta hai jaise sath hi to hai sab milte rahenge yar.... Fir soch me ata h jaise hum rail ke do patriyo jaise hai jo hamesha saath hai par unhe kya pta ki wo kabhi mil hi nahi sakte....
All da very best to all my beloved seniours.. we are going to miss your presence in ever forthcoming occasions... Keep smiling... n we'll meet in da reunioun for sure... Stay blessed.
very nice article shraddha....:)
ReplyDeletefabulous....beautiful
ReplyDelete@prasenjit: thanku frnd n thx for sharing it der.... :)
ReplyDelete@Kundan: thankx... :)
ultimate sister
ReplyDelete